kia us ki soorat kia us ki seerat
kuch toh dekh kuch toh samaj
uff! tu toh bas chup hi ho ja
zinda hun zindagi k mazey tou lene de
ik nazar jee bhar k dekhne toh de
aj mili hai kitne dinon k baad
phir shayad aye na aye ghar se bahar
ik nazar jee bhar k dekhne toh de
aj mili hai kitne dinon k baad
phir shayad aye na aye ghar se bahar
Oh ho! kia teri alaa soch kiya teri zaat kia teri aukat
sun kyun bhagta hai ik nacheez k peeche
aj woh teri kal kisi aery ghaeray k sath chali jaye gi
aj ya kal tjhe tarapta chor jaye ge
aj ya kal tjhe tarapta chor jaye ge
kiya bataon! us ki tarap me jo mazaa ho ga tu kia janne
are tu toh aqal se sochta hai, tu kia dil ka haal janne
jo aya is hoon duniya me tou zindagi k mazey le kar jaon ga
tu lakh rok tu lakh tok me tou aj yeh baazi jeet k hi jaon ga
jo aya is hoon duniya me tou zindagi k mazey le kar jaon ga
tu lakh rok tu lakh tok me tou aj yeh baazi jeet k hi jaon ga
baat tou theek karta mere karamo k malik
par haqeeqat tou bas itni hai
woh char din ki chandini hai aur bas sare zindagi ka pichtawa
na bhag us fitna-e-insaani k peeche oh Nael
kyun bhool gia ik undlas tha jis ki thi ik nagin
le dhobi us sultanat ko
jo thi aali shaan ik misaal ki manid
kuch na chora mita diya naam-o-nishan
kia sipahi kia qaazi kia badshaw
sab k sab ho gaye zinda dafan
tu toh duniya ka pujari hai zalim

tu kia janne dozakh ki agg aur woh jannat ki hoor
arey ik baar dekh le toh tu toh dunia ki sari lazatein bhool jaye
na bhag na tarap chal chor dunia k jhambheele
le Allah ka naam aur mann apne rab ka hukam
jhuka de sar us ke samne ban ja momin
arey ik baar dekh le toh tu toh dunia ki sari lazatein bhool jaye
na bhag na tarap chal chor dunia k jhambheele
le Allah ka naam aur mann apne rab ka hukam
jhuka de sar us ke samne ban ja momin
No comments:
Post a Comment