Hum khare dekh rahe gay teri bidayii
Na hoga koi gum na koi shikwa mere sanam
Bas barhe ja rahe honge teri taraf mere humdum
Dekhein gay pehli baar jee bhar tjh ko
Jee lein go wo pal ek aakhri baar hum tou
Bhol
Bas ik akhri baar Nazr na chura payenge hum tou
Ikhtiyar naa ho hoga kisi b sheh ka hum ko
Par kch mangnay k liye tiyaar bhi na hon ge hum tou
Akhir phr wohi dost aa kr gale laga le ga
Hum phr usi dost par qurban ho jayen ge
Bhool jayen ge k ik maghroor ki perchayee se humein ishq hua
tha
Aise parchayee jis ko jab chahte cho lete paa lete
Magr Hum nadan kisi aur hi chakar mein phans gaye
Chalak the chalaki dekhate dekhate khud hi phans gaye
Kahenge aa dost tum nhin cheen sakty thay hm se hmari jaan
Par hum teri ghairat ko kaise kbhi bna sakte the apni aan apni shaan
Tu tou hai to mera yaar hi tujh se kiya chupana
hum tu teri aqeedat mein hi hama waqt lut sakte the
hum tu teri aqeedat mein hi hama waqt lut sakte the
Teri dosti bhi shayad usi ko hasil karne k liye hi thi
magr phir yeh dosti na jaane kaise dil me rach bas gayi
log aksar Kehte hain mohabbat se bari
koi chez nahi
Par mein kahon ga aa dost teri dosti se bari meri muhabbat nahi
Hum toh pehle bhi jee rhe the
Ab bhi jee lein lenge uske bin
Ab bhi jee lein lenge uske bin
Jab tak zinda rahey gi wo
tab tak intezaar karein gay us ka
jo na milli tou kiya bura ho ga
shukar phr b ada karte rhe gay rab ka
tab tak intezaar karein gay us ka
jo na milli tou kiya bura ho ga
shukar phr b ada karte rhe gay rab ka
bas ik gila rahe ga saari zindagi khud se
jo kch b chaha us ko paany ki tagh o do na ki
kabhi taqdeer kbhi tazheek ka bahana bana kr
sar jhuka diya apna zameer luta diya
Shayad Nael danaii k chakkar me hi maara gaya
Warna aashiq faqat shaer wh bhi kamal tha
No comments:
Post a Comment