Monday, 23 December 2013

aey dost!

Aey dost!                  

  (SAd)


Tha woh bewafa magar tum wafadar thay
woh bereham tha magar tum to rahmaan thay

tha kuch aisa pal ke tham sa gaya dil
par mohabbat toh thi akhir usi se

kuch toh lehaaz kiya hota
kuch toh kaha hota kuch toh suna hota

yunhi barson ke sath ko ik pal mein chor diya
ghusse ko dil-o-dimag par havi kar liya

na socha na samjha kuch na pocha kuch na bola
zakhmi dil se dil hi torh dia  

chalo jo kiya so kiya aakhir ek dafa toh socha hota
ab kun rotey kyun taraptey ho uski yaad mein

tum aise toh na thay tum aise toh nahi haar-te thay
kyun khelte ho apni jaan se aoni shaan se

yeh duniya jo kehti hai kehne do janah!
akhir ye tum ho yeh tumhari zindagi hai

na baap ka saya na sar par shafqat ka hath
ab jo duniya koosti hai toh kyun rotey ho

barho aagey barho laro magar apne liye
karo kuch karo batao duniya ko

yeh mein hoon me sab kuch mere ikhtiyar me ha
khud kama-ao khud kha-ao na khelo doston se is tarah

rakho dil me sambhal k ik kabar me dafan kar ke
akhir pata chale yeh rasta tumhara tha

jo ho chuka so chuka jo hoga so hoga
jiyo yeh zindagi yeh tumhari hai 

na do kisi ko mo-kah ke ungli uthaye
mujh jaisa aye toh utha-ao aur phenko bahar 

ab waqt hai samajhne ka aage barh-ny ka
na samjhe na samjhe toh rull jao ge 


No comments:

Post a Comment