KASH
(by NAEL)
kash hum na khilte
kash tum na milte
kash hum tum ko na dekhte
dekhte tou tum se dil na lagatey
kash hum ghar se hi na nikalte
nikalte tou tum wahan se na guzarte
guzarte tu yun na gardan na akrhate
akrhate to nazarein na milatey
milatey to hum dil na detay
detay tou wafa ki umeed na lagaty
lagaty tou dhoka hi kha jatey
kash yun us din dhoop na nikalte
nikalte toh tumharay chehray ko na choti
choti toh ustrah na choti
sath mein humari jaan le jati
Kash woh lut tumharay galon par na girti
girti tou nazron se ojhal hoti
na yun tumhara hath barhata
na yeh kambakhat dil machalta
kash woh pal na hi ata
ata toh thori der k liye thum sa jata
thum jata aur bas usi pal mein duniya ji letay
kash hum kuch der doston se guftatagoo kar lete
na karte toh kuch lene ki khatir bazzar mein ruk jate
na tum sirey se miltey na hum kabhi ishq karte
kash k us din hamari nazar tum par na parti
hamesha ki tarah sar jhukaye chal detay
na sar uthta na koi gul khilta
chalo man liya sab kuch aisa hi hota
par kash hum us pal mein na khotey
kash |
yun na hanstay yun na rotey
kash jeete aur jeete chale jate
na koi ghum hota na koi umeed hoti
agr umeed bhi hoti to tum mil jatey
miltey na toh kam az kam dil hi toh torr jatey
ab kiya karey ga Nael toh!
teri chahat mein itni takat hi nahi
teri muhabbat mein itni sakat hi nahi
No comments:
Post a Comment